Influencer Sana Yousaf ke walidain ne BBC Urdu ko apna pehla interview diya hai. Unhon ne bataya ke unhon ne yeh qanooni larai har us beti ke liye lari jo zulm ka shikar hoti hai. Sana ki maa ne jazbati hotay hue kaha ke agar beti ko insaf na dilwatien to maut ke baad us se aankhein kaise milatien.