Adakara Momina Iqbal ne Instagram par inkshaf kiya hai ke unhein aik PML-N ke MPA ki taraf se shadeed harassment aur jaan se maarne ki dhamkiyan mil rahi hain. Unhon ne FIA aur Punjab Police par shikayat dabane ka ilzam lagaya aur Wazir-e-Ala Punjab Maryam Nawaz se insaf aur tahaffuz ki guzarish ki hai.