Naya drama “Bas Tera Saath Ho” ko mashhoor drama “Mere Humsafar” ka part 2 kaha ja raha hai. Is par adakara Zoya Nasir ne wazahat ki hai ke ibtedai tor par yeh idea “Mere Humsafar” ki tarz par hi banaya gaya tha jahan larke ka kirdar be-bas dikhaya gaya hai, magar agay chal kar yeh kahani bilkul mukhtalif rukh ikhtiyar kar leti hai.