Adakara Alizeh Shah ke naye drame “Khuwab Meray” ke aik scene ko kharab acting aur cringe hone par trolled kiya ja raha hai. Is scene mein unhein aasaib-zada dikhaya gaya, magar internet sarifeen ne unke model jaise makeup aur baqi adakaron ki be-tuki acting par kadi tanqeed karte hue ise be-kar drama qarar diya.