Aroosa Khan ne social media par apne shohar Iqrar-ul-Hassan ka difaa kiya hai. Hal hi mein Farah Nadeem ne Iqrar-ul-Hassan ki workout video par tanz karte hue kaha tha ke woh kam weight uthanay par bhi zyada acting kar rahe hain. Is bayaan ke baad Aroosa ne agay barh kar apne shohar ki himayat ki hai.