Adakaara Dananeer Mobeen ne betiyon ki kamyabi mein baap ke kirdar ko intehayi ahem qarar diya hai. Unhon ne kaha ke jin betiyon ke peeche unke baap ka sahara hota hai, wo har mushkil ka muqabla kar sakti hain. Dananeer ke mutabiq baap ka diya gaya aitmaad aur pyar koi dusra mard kabhi poora nahi kar sakta.