Ali Rehman Khan ne Inkishaaf kiya hai ke unhein kayi baar apni co-stars par crush raha hai, magar unhon ne kabhi iska izhaar nahi kiya. Unka kehna hai ke set par zyada waqt guzarnay ki wajah se dil ana aik fitri baat hai. Ali ne mazeed kaha ke unhon ne aaj tak kisi ko apna naam nahi bataya.