Shahid Afridi ne betiyon ki parwarish ke hawale se aik dilchasp inkishaaf kiya hai. Unhon ne bataya ke unhon ne apni do betiyon ko mobile phone sirf unka nikah hone ke baad hi diya. Afridi ka yeh bayan social media par naye naye qawaid aur tarbiyati usoolon ke hawale se aik nayi behas ka aghaz kar raha hai.