Amar Khan ne industry mein mard aur aurat ke darmiyan “ageism” par sawal uthaya hai. Unhon ne kaha ke mard 40 ki umar mein bhi jawan kirdar nibhate hain, magar khawateen ko chand saal baad hi mature roles de diye jate hain. Amar ne Hollywood adakaaraon ki misaal dete hue is rawayye ko khatam karne ka mutalba kiya.