Adakaara Zara Tareen ne apni zindagi ki mushkilat aur heartbreak par khul kar baat ki hai. Unhon ne bataya ke takleef-deh halat ke baad ab woh sirf apni sehat aur zaat par tawajjo de rahi hain. Zara ka manna hai ke akele waqt guzarnay se insaan ko apni fitrat samajhne aur purani galtiyan na dohrane mein madad milti hai.