Senior adakaara Fazila Qazi ne larkiyon ko mashwara diya hai ke woh apne shohar se har baat share na karein. Unka kehna hai ke mard baad mein purani baaton ka tana dete hain aur inhein kamzori ke taur par istemal karte hain. Nida Yasir ne bhi is baat ki himayat karte hue mayke ki baatein raaz rakhne ka mashwara diya.