Khalil ur Rehman Qamar ne aik interview mein bataya ke woh apni walda ke bajaye waalid ke zyada qareeb thay. Unhon ne bataya ke unki walda unki shikayatein waalid se karti thin, jis par unhein maar parti thi. Khalil ur Rehman ne mazeed bataya ke unki walda ka inteqal tab hua jab woh sirf 18 saal ke thay.