Yasir Hussain ne apne bete Kabir Hussain ke career ke bare mein wazahat pesh kar di hai. Unhon ne kaha ke wo chahte hain ke unka beta doctor ya sportsman ban kar mulk ka naam roshan kare. Magar unhon ne ye bhi saaf kiya ke agar Kabir adakari ko hi apna pesha banana chahega to wo uski mukammal himayat karenge.