Adakaara Alizeh Shah ko unke naye drama Khwaab Meray mein bhari makeup aur styling ki wajah se kadi tanqeed ka samna hai. Fans ka kehna hai ke medical student ke kirdar ke liye itna loud makeup aur surgeries wali look bilkul munasib nahi. Social media par unhein saadgi apnanay ka mashwara diya ja raha hai.