Sarwat-Gilani ne parenting mein mard aur aurat ke kirdar par baat ki hai. Unka kehna hai ke maon ka gussa poore din ki thakawat ka natija hota hai, is liye shohar ko chahiye ke wo apni biwi ki mehnat ki tareef karein. Sarwat ne mazeed kaha ke baap ka apni maa ke saath rishta unki apni parenting par asar andaz hota hai.