Senior adakara Atiqa Odho ne drama ‘Muamma’ ke anjam par shadeed mayoosi ka izhaar kiya hai. Unka kehna hai ke drame ka ikhtetaam bohat hi ajeeb aur over-dramatic tha. Atiqa ko hairat hai ke Saba (Jijji) is end par kaise razi huin, kyun ke is mein kirdar ko proper closure nahi diya gaya.