Adakaara Mehrunisa Iqbal ne jawan adakaraon ko sahi umar mein shadi karne ka mashwara diya hai. Unka kehna hai ke umar barhne ke saath (standards) sakht ho jate hain, jis se rishta dhoondna mushkil ho jata hai. Unhon ne mazeed kaha ke ghar basane ke liye thora compromise aur sacrifice zaroori hota hai.