Adakaara Hina Tariq ne feminism ko aik ‘laanat’ qarar dete hue kaha hai ke wo mardana mard pasand karti hain. Unka kehna hai ke khawateen ko mard banne ki koshish nahi karni chahiye balke unhein mile hue protocol ka maza lena chahiye. Hina ke mutabiq, rent dena aur petrol bharwana mard ka kaam hai.