Mashhoor host aur adakaara Juggan Kazim ne takleef-deh waqiye ka zikr kiya hai. Unhon ne bataya ke jab wo apni bimar maa ke liye pareshan aur ro rahi thin, to aik larki ne unki video banayi. Juggan ne fans se darkhwast ki ke adakaar bhi insan hote hain aur unki privacy ka khayal rakha jaye.