Mashhoor drama ‘Noor Jahan’ ke director Mussadiq Malik ne tasdeeq ki hai ke is dramay ka prequel (shuruat ki kahani) jald aa raha hai, jiska naam ‘Noor Bano’ hoga. Is naye dramay mein Noor Jahan ki bahu ki purani zindagi ki kahani dikhayi jaye gi. Fans is khabar ko sun kar boht zyada khush aur excited hain.