Saba Faisal ne inkishaf kiya hai ke ghar ka sukoon ya fasad mulazmeen ke hath mein hota hai aur wahi aksar gharon mein jhagron ki wajah bante hain. Unhon ne bataya ke unki apni domestic help bhi unse chughli karne ki koshish karti hai, lekin wo foran unhen khamosh kara deti hain.