Aiman Khan saat saal baad acting mein wapis aa rahi hain. Unhon ne apne career se lamba break liya tha, magar ab wo naye projects ke liye taiyaar hain. Fans unhen dobara screen par dekhne ke liye boht excited hain aur unka kehna hai ke Aiman ki wapsi se industry mein aik nayi jaan aa jaye gi.