Fawad Khan, Mahira Khan aur Sajal Aly, Ali Zafar samait kai Pakistani sitaron ne India ja kar apni adakaari se sab ko mutaasir kiya. In fankaaron ne Bollywood mein bare projects kar ke dunya bhar mein Pakistan ka naam roshan kiya. Fans aaj bhi unki sarhad paar shandaar karkardagi ko yaad karte hain.