Fiza Ali ne live show mein shohar ke hathon uthaye jane par hone wali shadeed tanqeed ke baad video paigham ke zariye maafi maang li hai. Unhon ne wazeh kiya ke wo aik family moment tha aur unka maqsad behayayi phelana nahi tha. Aur fiza ali ne kaha agar kesi ki dil-azari hui hai toh woh maafi mangti hain.