Gulukaara QB ne shadi ko “waqt ka ziya” (waste of time) qarar de diya hai. Aik podcast mein baat karte hue unhon ne kaha ke research ke mutabiq shadi se aurton ke muqable mardon ko zyada faida hota hai aur khwateen shadi mein mardon ki nisbat kam khush rehti hain. Unka ye bayan social media par behas ka mauzu ban gaya hai.