Naimal Khawar ne nojawano ko kamyabi ka mashwara dete hue kaha hai ke humsafar talaash karne se pehle apni zaat par kaam karein. Unhon ne zor diya ke pehle apni parhai mukkamal karein, khud par mehnat karein aur kuch ban kar dikhayein, phir apna jeevan sathi chunein. Naimal ke mutabiq career banana shadi se pehle bohat zaroori hai.