Sehar Hayat ne Sami Rasheed se khula lene ki bari wajah batate hue unpar sangeen ilzamat lagaye hain. Sehar ka kehna hai ke unhe rozana talaq ki dhamkiyan di jati thin aur shohar unpar tashaddud karte thay. Mazeed ye ke Sami ne beti ka kharcha band kiya aur unki gari bhi wapas nahi ki.