Adakaara Resham ne Humayun Saeed ki sharafat ka qissa share kiya hai. Unhon ne bataya ke “Mere Paas Tum Ho” ki kamyabi par Humayun ghabra gaye thay aur unhe yaqeen nahi aa raha tha. Resham ke mutabiq, Humayun ne unki bhanji se mil kar sabit kiya ke wo itne bare star hone ke bawajood be had ache insan hain.