Mashhoor host aur adakaara Maya Khan ke “Baba Jan” is duniya se rukhsat kar gaye hain. Maya Khan ne Instagram par is dukh bhari khabar ka elan kiya aur bataya ke wo Liaquat Ali Khan ke potay thay. Walida ke inteqal ke baad is bare sadme ne Maya Khan aur unke chahne walon ko ghamzada kar diya hai.