Pakistani model Zainab Yousaf ne khawateen ko mali faide ke liye “Sugar Daddies” istemal karne ka mashwara de kar social media par toofan khara kar diya. Unhon ne kaha ke aurton ko jazbaati talluq ke bajaye sirf paison par focus karna chahiye. Is bayan ko awaam ki janib se intehai ghair-zimmedarana qarar de kar kadi tanqeed ka nishana banaya ja raha hai.