Punjabi filmon ki star Deedar ne adakaara Resham par ghar tabah karne ka sangeen ilzaam laga kar sab ko hairan kar diya. Deedar ka kehna hai ke Resham asli zindagi mein intehai “negative” hain aur unhon ne kai logon ki zindagiyan kharab ki hain. Unhon ne Resham ke mojooda doston ko bhi unse bach kar rehne ki sakht hidayat di hai.