Maroof gulukaar Ali Zafar ne Eid par pehne gaye apne “See-Through” kurte aur “Ajrak Dhoti” par honay wali tanqeed ka tanzia jawab de diya. Social media par unhon ne mazahiya andaaz mein “maafi” mangte hue kaha ke unhein ehsas hai ke unka kurta aur podon ko pani dena is waqt ka sab se bara qaumi masla ban chuka hai.