Wbo world boxing champion usman wazir ne hania aamir ko boxing ki training dena shuru kardi hai. Usman ne hania ki salahiyaton ki tareef karte hue kaha ke wo aik mazboot fighter ban sakti hain aur jald hi kisi match mein hissa le sakti hain. Is ke sath hi usman ne hukumati sarparasti na milne par afsos ka izhaar bhi kiya hai.