Mashhoor model aur actress saheefa jabbar ne food business ke mushkilat par khamoshi tor di. Unhon ne kaha ke zindagi mein sab kuch karlein magar apna food business mat shuru karein. Saheefa ke mutabiq is karobar ko sambhalna aur manage karna intehai mushkil aur thaka dainay wala kaam hai, jis mein unhein kafi mushkilat ka samna karna para.