Social media par model Nadia Hussain ki aik post ne naya toofan khara kar diya hai. Unhon ne Eid ke liye aisi ‘DHA Wali Maid’ ki khwaish ki hai jo ghar ka har kaam, khana banana aur handyman ke kaam sirf 50,000 rupay mein kar sakay. Is viral demand par awam mein sakht behas chiri hui hai ke ye mumkin hai ya nahi.