Model aur actress Nadia Hussain ki beti Sasha ne Quran Pak mukammal kar liya hai, jiski khushi mein unhon ne aik video share ki. Jahan bohat se fans mubarakbaad de rahe hain, wahin kuch log tanqeed bhi kar rahe hain ke Sasha ne itni barri umar mein Quran khatam kiya. Kuch logon ne “Khatam” ki jagah “Takmeel-e-Quran” likhne ka mashwara bhi diya.