Film “Bullah” ke director Shoaib Khan ne Shaan Shahid par honay wali tanqeed ka jawab de diya. Unhon ne kaha ke Shaan ke sath kaam karna aik khawab jaisa hai aur un par ilzaam lagane wale adakar shayad khud “Insecure” thay. Director ne un afwahon ko jhoota qarar de diya ke Shaan shooting ke doran mudakhlat karte hain.