Ayeza Khan ne Danish aur doston ke liye khud Iftar tayyar kiya. Pehlay Ayeza Khan ne mazaq mein kaha tha ke unhein khana banana nahi aata, magar ab unhon ne behtareen khana bana kar sab ko hairan kar diya. Social media par fans Ayeza Khan ki mehnat aur un ki Danish Taimoor ke sath pyari jori ki bohot tareef kar rahe hain.