Nanhe Naat Khawan Arham Qadri ne apni masoomiyat aur pur-aitamad guftagu se Shaan-e-Ramzan mein sab ke dil jeet liye. Arham ki Naat aur khoobsurat libas ko social media par behad pasand kiya ja raha hai. Khususan rabbits (khargosh) se darne wali unki viral videos ne unhein raaton-raat netizens ka pasandida star bana diya hai.