Babar Azam national team management ke mashwaray par cricket se mukhtasir break lene ja rahe hain. Zaraye ka kehna hai ke unhein thakawat ke baais aaram ka mashwara diya gaya hai, jis ki wajah se wo jari National T20 Cup ka hissa nahi honge. Fans ke liye yeh khabar kafi hairan-kun hai.