YouTuber Rajab Butt aur unki ahliya Emaan Fatima ke darmiyan talaq ki khabron ne shiddat ikhtiyar kar li hai. Rajab Butt ne Emaan ko divorce notice bhaij diya hai, jis par Emaan ne shadeed gham o gussay ka izhaar kiya. Is silsilay mein Dr. Nabiha Ali Khan ne apna public message jari karte hue dono ko ghar bachane ka mashwara diya hai.