Pakistan ke superstar Shaan Shahid apni nayi film Bullah ke sath dhamakedar wapsi kar rahe hain. Unhon ne film ka naya spiritual gana ‘Lajpalan’ share kiya hai, jis mein wo apne purane mashhoor Zill-e-Shah wale andaz mein darbar par dhamal daltay nazar aa rahe hain. Fans is naye kalam aur Shaan ki acting ko bohat pasand kar rahe hain.