Badin mein paani ki kami ka buhran shadeed ho gaya hai, jabke Kotri Barrage mein paani dastiyaab hai. Kisaan ehtijaaj par hain, kyunke chawal ki fasal paani ki kami se sukh rahi hai. Protest mein kisano ne mutalba kiya ke Mirwah canal ka paani 11.5 se barhakar 17.5 feet kiya jaye aur 3,400 cusecs paani mukammal tor par diya jaye.