Aina Asif ne aik interview mein apni personal life par khul kar baat karte hue kaha ke abhi tak unhein apna perfect match nahi mila. Unka kehna tha ke aksar kuch baaton ke baad hi samajh aa jata hai ke saamne wala unke liye theek nahi. Busy routine aur emotional mismatch ko bhi unhon ne wajah bataya.