Ramzan transmission mein aik Mufti ke bayan ke baad actress Urwa Hocane phir public debate ka hissa ban gayi hain. Mufti ne unke surname “Hocane” par aitraz karte hue kaha ke Islami naamon ko jaan boojh kar badalna ya bigarna jaiz nahi. Bayan viral hotay hi social media par behas chhir gayi.