Pakistani actress Laiba Khan ne khulasa kiya hai ke zyada tar actresses apni shadi par rent ke joray aur jewelry pehanti hain. Unka kehna hai ke mehngai ki wajah se mehnga bridal jora khareedna ab zaroori nahi. Laiba ne kaha ke shadi ka asal maqsad khushi aur naya rishta hota hai, na ke kapron ki numaish.