Mashhoor TikToker Alina Aamir ki mobayyana leaked video ke case mein ahem paish raft samne aa gayi hai. Alina Aamir ne Instagram par video share kar ke bataya ke is maamlay par FIR darj ho chuki hai. Unka kehna hai ke fake video bananay aur share karne walon ke khilaaf sakht qanooni karwai ki jayegi aur kisi ko nahi bakhsha jayega.