Pakistani superstar Saba Qamar ne Javeria Abbasi ki tanqeed par react kar diya hai. Instagram par bayan dete hue Saba ne kaha ke “Astaghfirullah” kehna ghalat matlab mein liya gaya. Unka kehna tha ke yeh Allah se maafi mangnay ka lafz hai. Saba ne freedom of speech par bhi baat ki, jabkay social media par behas abhi jaari hai.