Mehwish Hayat ka kehna hai ke mazboot imaan zindagi ki mushkilaat aur zehni dabao ka muqabla karne ki taqat deta hai. Recent interview mein actress ne bataya ke Allah par poora bharosa aur dua insaan ko sakoon, sabr aur umeed deta hai, khaas taur par aaj ki tez raftaar zindagi mein.