Maya Khan ne aik show mein Gen Z Samar Jafri ki mehnat aur struggle par khul kar baat ki. Unhon ne Samar ko apna pasandeeda Gen Z actor qarar diya aur kaha ke unhon ne set par uska sabr, khamoshi aur Allah par yaqeen se bohat kuch seekha hai. Maya ne Gen Z aur Millennials ke darmiyan farq par bhi roshni daali.